Andhra King Taluka (2025) Movie Story Kahani mein hota yeh hai ki Sagar , Surya Superstar iss actor ka die-hard fan hota hai. Uske liye Sagar kisi bhi had tak jaa sakta hai. Ek din Surya apne gaav ke theatre ke malik ki beti Mahalaxmi ko usi ke theatre mein parde ke aage kiss karta hai. Picture chal rahi hoti hai aur parde ke aage dono kiss karte hain. Film dekhne aayi audience ko bhi yeh dikh jaata hai aur Mahalaxmi ka baap bhi wahaan maujood hota hai. Phir Sagar ko pakad kar Mahalaxmi ka baap aur uske aadmi use peet-te hain. Image Credit: Andhra King Taluka (2025) – Mythri Movie Makers / T-Series Sagar ko Mahalaxmi ka baap neecha dikhata hai aur kehta hai: "Meri beti ko tu kahan rakhega? Gandi naali ke keede, apni aukaat mein reh!" Yeh baat Sagar ke dil ko jhanjhor kar rakh deti hai aur woh thaan leta hai ki jab tak gaav mein Mahalaxmi naam se doosra theatre nahi bana leta, tab tak teri beti se shaadi nahi karega. Theatre banane...
We capture great stories and movies from decades. You will reading these movies stories